Wednesday, October 31, 2007

Kavi Kumar Biswas.. Poem I like most...

koi diwana kehta hai..koi pagal samjta hai..
magar dharti ki baicheni..ko bas badal samjta hai...
tu mujhase dur kaisi hai main tuzse dur kaisa hu,
yeh mera dil samjta hai na tera dil samjta hai...

mahobat ek aisa sog ki pawan si kahani hai
kabhi kabira diwana tha kabhi meera diwani hai..
yaha sab log kehte hai ki mere aankho me aansu hai..
jo tu samjhe to moti hai jo na samjhe to pani hai..

Bahut tula bahot bikhara thapede seh nahi paaya..
hawaaon ke isharo par, magar main beh nahi paya...
adhoora ansuna hi reh gaya yeh pyar ka kissa...
adhoora ansusna hi reh gaya yeh pyaar ka kissa...
kabhi tu sun nahi paaryi kabhi main keh nahi paya...

bhramar koi kumdani par machal baitha to hungama
humare dil me koi khwab pal baitha to hungama...
abhi tak log sunte the kissa mahobat ka...
main kisse ko hakikat me badal baitha to hungama...

samundar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta...
yeh aansu pyar ka moti, ise main kho nahi sakta...
meri chahat ko tu apna bana lena magar sunle...
meri chahat ko tu dulhan bana lena magar sunle..
jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta...

swaym se dur ho tum bhi.... swaym se dur hai hum bhi...
bade mashhoor ho tum bhi...bade mashhoor hai hum bhi..
bade magroor ho tum bhi... bade magroor ho tum bhi..
aatah bade majboor ho tum bhi..
bade majboor hai hum bhi...

20 comments:

Unknown said...

join hr
फॉर
कोई दीवाना कहता है कोई पागल समझता है,मगर धरती की बैचेनी को बस बादल समझता

http://www.orkut.com/Community.aspx?cmm=23427391
wtng

vibhor anil kumar aggrawal said...

dsir'
aapki kavita suni.aur dil ki parchaiyon me kuch had tak jeevit use paaya.esp pagli ladki rachna ko dad deta hun(khaj nahi!!!)bahut dino baad simple words me thoughts deliver karne walen kavi ko suna.
you hav performed in ism dhanbaad.and we sincerly want kavi like you to perform in vit,vellore.you hav your fan following here too...
vibhor
vibhoragrawal2007@vit.ac.in

Unknown said...

This song has touched my heart. Thanks for creatings such song.

Unknown said...

This song has touched my heart. Thanks for creatings such song.

Kamlesh Singh Tajpuri said...

just amazing

chetan kumar singh said...

sir
thanks to get me feel goo

chetan kumar singh said...

i m yor great fan, cooler ac

Anonymous said...

sir jee aap too tooo toooo toooo good ho... simply ammmazin poems...

chakachoundh gyanpuri said...

koie divanakahta hai yah galat hai
Koie pagal samajhata hai yahee theek hai. Priya Kumar Bisawas Ke lie.

Dr.chakachoundh Gyanpuri Hasya Samrat, varnasi
Mob.0-9415293976

Shambhu Kumar said...

koi bharam kumudni per machal biathe to diwana...
so nice dear

Preet said...

hi
koi deewana kehta hai.... i like it the most... will like to listen frm u some day. god bless u .... :)

Gunjan kumar(Junoo) said...

Aap ne ye jo poem likhi hai jo hamare dil ko chhu gaya. Aap ne ye poem esa likha hai ki dil ki baat dil tak pahuncha de bahut khoobsurat poem hai.

Gunjan kumar(Junoo) said...

Aapka ye poem suna kar uske dil tak apni baat pahuchha di jisse mai dilojaan se pyar karta hoon o mere liye ek tofa hai jo god ne mujhe gift diya hai.

Unknown said...

u tuched my heart sir..........

and u r amazingaly best........
thanks..

Unknown said...

u touched my heart, sir..........
u r amazingly great in your attitude.....
Thanks

Anonymous said...

sir,

aapki har adaa nirali hai.
Koi kitab agar mil jaye to kahan se le sakte hain. pata bata dijiye.
regards M.G.Sharma
Himachal pardesh.
mgsharma1008@gmail.com

Anonymous said...

sir jee tusi great ho

Unknown said...

Nice poem Dr Bisvas , I like it.
Vikram @ BHU

nayi soch said...

Dr Viswas main aapki har rachna se sayad sahmat na bhi ho paun par use sun na paun ye ho nahin sakta

Unknown said...

yr heart touching poem sir ji ap to great ho......kunal khare, B.tech student