Sunday, November 25, 2007

Sher O Shayri...Part III

Arz hai...

Dil ke zakhmon ko unse chupana pada,
Palke bheegi thi par muskurana pada,
kaise ulte hai yeh mohabbat k riwaj,
rutna to chate the..par unko manana pada.

---------------------------------------------

Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain,
Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jaate hain.

---------------------------------------------

chahta hoon main muneer iss umar k anjaam par ..
aik aisi zindagi jo iss Qadar mushkil na ho ..

----------------------------------------------

had bhee koi intezar ki hai
ab chandnee dhup ho chalee hai

----------------------------------------------

Tum apni "gehri aankhon mein", naye sapne le ker aai ho


Hum apni bheegi palkon pe, ab khuwab sajana chhor chuke.

------------------------------------------------

woh kr rahe thay apni wafaoon ka tazkara
hum pe nigah pari tu khamosh hoo gaye...

------------------------------------------------

kahaaN ka ishq,wafa,pyaar,mohabbat kaisi ?
aaj kal soney ke sikkoN se badaa kuch bhi nahiN

apne haathoN ki lakeeroN se khafa huuN, lekin
mere mehboob mujhe tujhse gilaa kuch bhi nahiN


ik zamana tha ke palkoN pe khwaab rehte the
ab to aaNkhoN meN aaNsuyoN ke sivaa kuch bhi nahiN

duaa kiije , ke karishma hi koi ho jaaye
iss duinya mai mohabbat ki davaa kuch bhi nahiN

sar-e-mehfil faqat nazreN.. milaayiiN thiiN tumse
ghabraaye kisliye ? humne to kaha kuch bhi nahiN

---------------------------------------------------

nahi padh sakoge meri jeevan ki kahani
wo panne phaad dena , jaha se shuru meri baat ho...

--------------------------------------------------

khuda ki itna badi kaynaat main maine
bas ek shakhs ko maanga,MUJHE WAHI NA MILA....

---------------------------------------------

Kash haatho ki lakir khich pate hum
aapni takdeer likh pate hum
mumkin hota agar aisa to
aapne hesse ki har khushi tere naam likh jate hum....

----------------------------------------------

Na khawaish,Na tamnna rakhte he hum,
Bas apne hi saye k sang rahte he hum,
Apko kaise bataye kaise he hum?
Bas yuhi samj lijiye k Aap khush he,
toh khush he hum.........

----------------------------------------------

Mana ki bhulna hamari aadat hi sahi,
Magar aapko bhul jana hamare bas mein nahi.
Dil chahe to aazma ke dekh lo,
Hum bhulna bhul jayenge par aapko nahi...

----------------------------------------------

Hotoon pe hai muskurahat
Aankhon mein dard soya hai
Zamaane ko kya khabar ki
Hasne wala kitna rooya hai

-----------------------------------------------

Kabhi-kabhi teri palkon pe jhilmilaun mey,
tu kare intezar aur na aau mey,
samundar mey le jakar fareb na kar a dost,
tu kahe toh kinare pe dub jau mey...

-----------------------------------------------

UNHE KIS TARAH SE BHULAAU AE KHUDA......
YAAD WOH KIS BAAT PAR NAHI AATE.....

------------------------------------------------

Dard Ko bhi Ab DARD Hone laga hai,
DARD khud hi mere zakham dhone lagha hai.
Dard ke saath kabhi Roye Na Hum,
Dard Khud hi Humko chhu kar Rone Lagha hai...

-------------------------------------------------

Apni halat ka khud ahsas nahi hai mujhko,
Maine auron se suna hai ki paresan hun main.

-------------------------------------------------

Sabke honthon par tabassum tha mere katl ke baad,
Jane kis baat par rota raha katil tanha.

-------------------------------------------------

raghon mein daudne phirne ke hum nahin qaayal
jo aankh hi se na tapka, to phir lahoo kya hai

-------------------------------------------------

RANJISH HI SAHI DIL HI DUKHANE KE LIYE AA
AA PHIR SE MUJHE CCHOD KE JAANE KE LIYE AA

AB TALAK DIL-E-KHUSHFAHAM KO TUJHSE HAI UMMEEDEIN
YEH AKHIRI SHAMMEIN BHI BUJHANE KE LIYE AA

--------------------------------------------------

tu kuch es tarah bewafai kar
ki tere bad koi bewafa na lage

--------------------------------------------------

Ek naam kya likha tera....shahil ki rait par..
Phir umr bhar hawa se meri dushmani rahi...!!

--------------------------------------------------

guzri hai zindagi kuch is tarha se apni
dilon pe raaj kiya phr bhi payar ko tarsey

--------------------------------------------------

agar dhekna hai hamari udan ko ,
to jao aur uncha karo aasman ko

---------------------------------------------------

koyi hadd hi nahi shayad muhabbat k fasane ki ,
sunata ja raha hai jisko jitna yaad hai...

---------------------------------------------------

laonga me kahan se judai ka honsala,
kyon is kadar mere kareeb aa rahe ho tum...

----------------------------------------------------

vo haadsa bhi khoob tha jab aansuon ka teer,
nikala kisi ki aankh se auur jakar mujhe laga

----------------------------------------------------

is maidan me sooni kashtiyan yuhi nahi.......
zarror yahan bhi koi sailab aaya hoga....

-----------------------------------------------------

1 comment:

R-Khan said...

BOHAT KHOOB.. DO, TEEN JO SHAYARI THI KASAM SE KYA BAAT HAI. KEEP IT UP LALAY.. IF U AV SUM MORE SHORT SHAYARIZ DO SHARE THEM WIV ME PLEASE.. MY ADDY IS
rehan-k@hotmail.co.uk

TC