Sunday, November 25, 2007

Sher O Shayri...Part IV

Arz hai...

baal faila kar jab koi mehbooba kabar par roti hai...........
tab mehsoos hota hai ke mout kitni haseen hoti hai........

---------------------------------------------------

hamare baad aapko apna banane kaun aayega........
rulane toh sab aayenge ,hansane kaun aayega......

badi mushkil hai chahat ki sabhi rasmein aur sabhi kasmein
karenge pyar sab ,nibhane kaun aayega.........
rulane toh sab aayenge hansane kaun aayega....

kahin majbooriya hogi, kahin tanhaaiya hogi
aapko har mod par raasta dikhane kaun aayega..
rulane toh sab aayenge hansane kaun aayega....

zaroorat har kisi ko hogi aapki meharbaani ki
sitam sehkar aapko apna banane kaun aayega....
rulane toh sab aayenge hansane kaun aayega....

hamare baad aapko apna banane kaun aayega.....
rulane toh sab aayenge hansane kaun aayega....

------------------------------------------------

Kabhi ro ke muskuraye..
Kabhi muskura ke roye..

Uski yaad jab bhi aayi,
use bhula ke roye...

Ek uska hi naam tha jise hazaar baar likha,
Jitna likh ke khush hue,
Us se zyada mita ke roye!!!

-------------------------------------------------

la pila de sakiya paimanaa paimaane ke baad

baat matlab ki karunga hosh aane ke baad

zindagi main do hi pal mujhpe guzre hai kathin

ek tere aane se pehle ek tere jaane ke baad..

-------------------------------------------------

Bahut khushiya hai aas-pass,
Mujhe khush karne ke liye,
Phir bhi koi waja doondhta hoon,
Shayad main muskuraane ke liye..!!

-------------------------------------------------

Na Thi Jisko Mere Pyaar Ki Kadar,

Ittefaq Se Ussi Ko Chah Raha Tha Main,

Ussi Diye Ne Jalaya Mere Haath Ko,

Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Main……

-------------------------------------------------

Vo rula kar has na paya der tak
Jab mein ro kar muskuraya der tak

Bhoolna chaha magar us ko kabhi
Or bhi vo yaad aaya der tak.

-----------------------------------------------

Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai
Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai

Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai
Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai

Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai
Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai

Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka
Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai

Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai
Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai

--------------------------------------------

sab se chupa ker dard,jo wo muskara dia,

uski hansi na tu aj muj ko rula dia,

lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan,

chehra bata raha tha k sab kuch ganwa dia,

awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi

aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya

----------------------------------------------

Kitna roya tha teri khatir...
ab jo ye sochoun bhi tu hansi aati hai...

------------------------------------------------

Mazaa lena hai barsaat ka to meri aankhon me aa baitho,
wo barson me kahin barse ye barson se barasti hain.

-----------------------------------------------

Musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi
Kisi more per phir mulaqat hogi

Chiragon ko aankhon mein mehfooz rakhna
Bari door tak raat hi raat hogi

------------------------------------------------

Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko aane mein zamane beet jate hein
Ek ek pal mein toot jate hein umr bhar ke woh rishtey
Woh rishtey jo banane mein zamane beet jate hein

--------------------------------------------------

Geele kagaj ki tarah hai jindagi apni,
koi bahata bhi nahi koi jalata bhi nahi...
Is kadar akele hain rahon me dil ke hum,
ab koi satata bhi koi manata bhi nahi....

---------------------------------------------

"hui muddat aane wala ..... aaya hi nahi
aab ye kehta hai ke maine bulaya hi nahi

Gum ko aansoun se to mai bhi poat deta per
tere baad mujhe kisine rulaya hi nahi

---------------------------------------------

tere wajood ki khusbo basi hai sansoo main
yeah aur baat ai nazroon say dur toon rahta hai

----------------------------------------------

Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN
Ashqo maiN sab bah gaye koi jazbaat nahi haiN

----------------------------------------------

Log har mod pay ruk ruk kay sambhaltay kyon hain,
Itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyon hain !

----------------------------------------------

saans lene ka hi gar naam hai gee na .
to sanns lene k bhi andaz badalte rahiye

-----------------------------------------------

Jaam ko hothon se lagaya, to peena na aaya.
Uske baad laakh samjhaya, par jeena na aaya.
zakham itne gehre bhi na they, ki bhar na paate.
kambakhat uske bin, hume inhe seena na aaya..

-----------------------------------------------

Dard kya hota hai bataayenge kisi roz
Haale-e-dil tumko sunaayenge kisi roz
Thi unki yeh zidd ke main jaaun unko manaane
Mujhko yeh vaham tha woh bulaayenge kisi roz

-----------------------------------------------

Hum baitay huway thay tanha is veraan say kuchay mein,
Souch raha tha kaisay jagao is dil ko bujhthay huway andharay mein

-------------------------------------------------

aaj hum unhe bewafa bata kar aaye hai,
unke khaton ko pani mein bahakar aaye hai,
koi nikal kar pad na le unhe,
is liye pani mein bhi aag laga kar aaye hai..

------------------------------------------------

Farq sirf aitna sa hai
teri doli uti meri mayet

phool tuj par be paray
phool mug par be paray

tu saj k gai
main sagaya gia

tu uth k gai
main utya gia

sehaliyan teri be thee
doost meray be thay

mehfil wo be thee
log yahan be thay

un k hansna wahan
yahan ain k rona tha

do bol teray paray gai
do bol meray paray gai

tera nikah para gia
mera janaza para gia

tujay apnaya gia
mugay dafnaya gia

firq sirf aitna sa tha
firq sirf aitna sa tha..

-------------------------------------------

No comments: