Sunday, November 25, 2007

Special one..

Arz hai...


Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai

Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai



Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai
Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai



Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai
Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai



Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka
Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai



Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai
Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai

--------------------------------------------

Manzil bhi usi ki thi rasta bhi usi ka tha
main akela tha kafila bhi usi ka tha
saath saath chale ki sochi fir rasta badalne ka faisla bhi usi ka tha
aaj tanha dil ye sawal karta hai
log to usi k the,kya khuda bhi usi ka tha

--------------------------------------------

No comments: