Sunday, November 25, 2007

Sher O Shayri...Part II

Arz hai...

A gunah kar kuch aisa gunah,
ki her gunah ,gunah ho jaaye,
gunah hokar bhi, gunah na ho,
aisa yeh gunah ho jaaye...

--------------------------------------

"rotey rotey mere hasne pe tajjub na karo,
hai wohi baat magar dusre andaaz me hai."

---------------------------------------

sochiye to husn iitna bewafa hota nahi,
husn ke majburiyon ko berukhi kehte hain log..

---------------------------------------

hum ko malum hai jannat ke haqeqat lekin,
dil ko kush rakhne ko ghalib yeh khayal achha hai.

-----------------------------------------

Ab aik ansoo giray to ruswa ker deta hai
Bachpan main to je bher ke roya kertay thay

-----------------------------------------

Koi Dikha ke Roye,
Koi chupake roye.....
Humain rulane wale humain rulake roye......
Marne ka maza to tab hain yaro...
jab qaatil Bhi Janaaze pe aake roye

------------------------------------------

Ye aansu bhi kambakht ek pareshaani hain..
Khushi aur gham dono ki nishaani hain..
samajhne waalon k liye anmol..
aur n samajhne walon k liye ye pani hain..

------------------------------------------

Zindagi mein Bahut baar waqt aisa aayega..
jab tumhen chaahne wala hi tumhen Rulayega..
Magar vishawas rakhna uspar....
Akele mein Wo Tumse Kahin zyada aansu Bahaayega.......

------------------------------------------

taseer-e-ishq toh dekhiye patthar bhi mom ho gaya
maine bhi uske zigar par ek teer aisa chala diya

-------------------------------------------

uski bhi thi mazbooriyan mujhe us se koi gila nahi
meri yaad ne meri kabr tak usko bhi aakhir la diya.

-------------------------------------------

ek khamosh sa afsana
aankhon se likha tha
na humne kuch kaha tha
na unhone kuch suna tha!!

--------------------------------------------

Kar lete hai tanhaiyon mein khud se hi baate,
Dard apne dil ka kisi se kaha nahi karte,


APne afsane k khud hi malik hai hum,
APne fasane kisi se kaha nahi karte,


Aandhero se hi kar li hai dosti humne,
Ujaale ab hume bhaya nahi karte,

---------------------------------------------

waffa jab bhool jaati hai kahin meera.. kahin raadha..

kishan bhi chod deta hai labon par bansuri rakhna.

-----------------------------------------------

mujhe kya rokengi yeh kashtiyon ki majbooriyaan..

main to haunslon se hi dariyaa paar karta hoon..

------------------------------------------------

jab mujhe ashko ko peena aa gya..
bass.. tabhi se mujhe jeena aa gya.

------------------------------------------------

aaj saansen kuch dhuli dhuli si hain aapki..
aaj jee bhar k roye ho kya ...???

------------------------------------------------

rishte kuch doori tak saath nibhaate hain..
ek na ek din saath nibhaana chudaana padta hai ..

kuch rishte aise bhi to ban jaate hain..
logon ko jaa kar samjhaana padta hai

-------------------------------------------------

yun mere vishwaash ka sheesha chakna choor na hota..
tune usko toda fir uske tukdo ko toda hai..

-------------------------------------------------

Har baat ko chupana ataa hai tumhein,
Roothon ko manana ataa hai humien.

Roothe ho tum najaane kis baat par ...
To phir wo baat kyun nahi bataate ho humien?

--------------------------------------------------

ye baat aur hai ki humaari haiyst nahi vo hume pyaar kare..
aakho ko bas unke hasin chehre ki jhalak paane ki hasrat hai!

---------------------------------------------------

tanhaii ki raaton main aksar
uljhi hui neend se kuch pehle
wo jaagte saaye dhundle se
yaad aaye hai,yaad aate hai...
wo andhaa dard ki jisme hum
karwat-karwat karhaate hai
uljhi hui neend se kuch pehle
aksar tanhaii ki raaton main...

---------------------------------------------------

vo khud hi jaan lete hai bulandi aasmaan ki,

di nahi jati talem parindo ko udaan ki,

---------------------------------------------------

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi,

Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi,

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se,

Safeena doob raha hai, to koi baat nahi,

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko,

Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi,

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha,

Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi,

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana,

Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi.

------------------------------------------------

Kuch aaj ye waqt ka takaza hai,
Dil mein dard abhi taaza taaza hai,
Gir padte hain aansu mere kagaz par,
Lagta hai kalam me syahi kum or dard jyada hai.

-------------------------------------------------

Aaj koyi achhi saja do mujhe.
chalo aisa karo, rula do mujhe.

-------------------------------------------------

1 comment:

My City West Vinod Nagar (Delhi) said...

aankeh num nahein hai; toh kiya gum nahein hoga;
jiikur mere mehfil mein jab diljalo ka hoga;
manoj vada karta hai; k naam tera bhi bayaN hoga;