Arz hai...
------------------------------------
jo ansu na hote annkho mein.....to aankhe itni khoobsurat na hoti..!!!!!!!
jo dard na hota dil mein.....to khushi ki kimat pata na hoti..!!!!!!!
jo bewafai na ki hoti waqt ne......to wafa ki kabhi chahat na hoti..!!!!!!
Agar maangne se puri ho jaati muraadein.....to uss khuda ki kabhi Zaruratt na hoti..!!!!!!!!
-------------------------------------
HER MOD PE MIL JATAY HAIN HAMDARD HAZARON
SHAYaD MERI BASTI MAIN ADAKAR BAHUT HAIN
----------------------------------------
Dil jeet le vo zigar ham bhi rakte hai
katil jo kar de vo nazar ham bhi rakhte hai
ye to umr bhar muskurane ka wada hai sirf aap se
warna in aankon me samundar ham bhi rakhte hai
-----------------------------------------
me toh yado ke chirago ko jalane me raha
dil ki dehleez ko asqo se sajne me raha
mud gayi wo toh sikko ki kanak sunkar
me gareebi ki lakero ko mittane me raha
------------------------------------------
PANE SE KHONE KA MAZA KUCH AUR HAI,
BAND AANKHON ME RONE KA MAZA KUH AUR HAI,
AANSO BANE LAFZ , LAFZ BANE GAZAL
AUR US GAZAL ME TERE HONE KA MAZA KUCH AUR HAI
-------------------------------------------
DUA MANGI THI AASHIYANE KI
CHAL PADI AANDHIYAN JAMANE KI
MERE GAM KO KOYI NA SAMAJH PAYA
MUJHE AADAT JO THI MUSKURANE KI
-------------------------------------------
Yeh ranj yeh musibat hissa hain jindagi ka,
Gam ko khushi banana hain kam aadmi ka,
Thokhar kismat ki khakar bhi jo muskurayeen,
ek roj badake aage manzil use gale lagayee.
-------------------------------------------
Safar-e-zindagi main ate hain padaaav bahut
Har subah ek nayee manzeel ki talaash main chale chal
--------------------------------------------
Talab hai jahan aasma ko bijliya girane ki,....
garz hai hamein bhi wahi aashiyan banane ki.
----------------------------------------------
yeh seediyan unhe mubarak jinhe chhat par jaana hai,
jo aasma ki aarzu rakhte hain, unhe apna raasta khud banana hai.
-----------------------------------------------
EK vadaa tha tera her vade ke peche...
tu mile ga mujhe her gali darwaaze ke peche...
per tu hi bewafa nikla.aikk tu hi na tha mere janaze ke peche...
-----------------------------------------------
Kaash Wadon Ka Matlab Tum Samajhte...
Kaash Khamoshi Ka Matlab Tum Samajhte...
Nazren Kehti Hai Tumse Hazaar Baatein...
Kaash Meri Nazer Ka Matlab Tum Samajhte.
------------------------------------------------
bheegi palkon k sang muskurate hain hm...
pal pal dil ko bhelate hain hm.....
aap dur hain humse to kia hua...
har sans main apki ahat pate hain hm
-------------------------------------------------
Kafan na daalo mere chehre pe
Mujhe aadat hai muskurane ki
Aaj ki raat na dafnao mujhe yaaro
Aaj ummeed hai unke aane ki
------------------------------------------------
Raafta raafta kar mudatto me bhule hai hum unko…
Kisto me khudkhusi ka maza humse puchiye
------------------------------------------------
ai waqt teri panah se ik lamha chura loon main ,
muddat se dafn nazar mein do ashq baha loon main.
sifar ab saugat-e-jindagi , ik khwahish ada kar de.
tasavvur mein sahi ik lamha uski jhalak ko paa loon main.
-------------------------------------------------
Humne Bhee Kisi Say Pyar Kia Tha,
Thoora Nahi Beshumar Kia Tha,
Hamari Tu Dunya He Badal Gaye Jab Us Ny Kaha.
Aray Pagal Mainay Tu Sirf Mazak Kia Tha.....
-------------------------------------------------
jis aur to chal pada hai mere dost, mere humsafar..
vahan haale dil bayan nahi karte..
kuch aankhen naa keh jaye, isliye palkein uthaya nahi karte
jab chirag jalte hai tab khud se kar lete hai doo chaar baatin..
yu shikwa yun gila zamane se nahi karte..
-------------------------------------------------
Woh Jafa Kartay Rahe Hum Wafa Kartay Rahe
Apan Apna Farz Tha Dono Ada Kartay Rahe..
--------------------------------------------------
Wada Kartay Hai,Kasamein Khatay Hai
Phr Bhee Pata Nahi Saath Kiu Choor Jatay Hai
Hame Tu Takleef Hotee Hai Phool Toodne Mai Bhee
Pata Nahi Loog Dil Kaisay Toor Jatay Hai .
--------------------------------------------------
Kitnay Naadan Thay Tufaan Ko Kinara Samjha
kitnay Bejan Saharo Ko Sahara Samjha
Kitnay Kamzarf Thay Woh Loog Jo Sahil Pay Thay
Hume Doobta Dekha Tu Nazara Samjah.
---------------------------------------------------
Ek Janaze ko dekhk ladki muskrayi,Ek baba bole-Beti kisiki mautPar yu muskraya nai karte,Ladki boli Baba Vada kiyathaJab b milnge mskraynge
----------------------------------------------------
Tere pyar main umar bhar intezar kiya,tere pyar main umar bhar intezar kiya or uss intezar main na jaane kitno se pyar kiya!
----------------------------------------------------
Haath mein taqat hai to tajmahal ko hilakar dekh varna aa baith do peg whisky maar aur tajmahal ko hilta hua dekh
-----------------------------------------------------
Ek lamhe mein unhone zindagi sawardi, ek lamhe mein zindagi ujardi, kasoor unka nahi hamara tha, jo in Do lamho mein humne zindagi guzar de.
-------------------------------------------------------
Na poocho mere sabr ki inteha kaha tak hai ...
wo karle sitam uski taakat jaha talk hai...
wafa ki umeed kisko hai..
abto dekhna hai wo bewafa kaha tak hai!!
--------------------------------------------------------
Ye dard ha meri koi saugaat nahi
ye bewaqt ka sawan hai koi barssat nahi
ye sart hai meri wo hotho se pilaye
mai jahar bhi pee looga koi baat na
--------------------------------------------------------
e-kaanch banane wale mera dil bhi sheeshe ka banaya hota, todne wale k haathon mein zakhm to aaya hota.
-------------------------------------------------------
aaye na bhale tumhe yaad hamari,
hum hamesha karenge fariyaad tumhari,
bewafa the wo, hum na kahenge kisi se,
kahenge ki shayad kami thi wafa me hamari
--------------------------------------------------------
Teri guzaarish hai, tujhe tere mehboob se mila doo
Uski sifaarish hai, main aaj kisi rote ko hasaa doo
--------------------------------------------------------
Kal fursat na mili to kya hoga?
Itni mohlat na mili to kya hoga ?
Roz kehte ho kal mileinge-kal mileinge,
Kal aankhein hi na khuli to kya hoga
------------------------------------------------------
jakham itne gehre hai izhar kya karen,
Hum khud nisana ban gaye hai waar kya karen,
mar gaye hum magar khuli rahi aakhe,
ab is se jyada unka intjaar kya karen
------------------------------------------------------
us rishte ka koi anjaam koi aagaaz nahi tha
ada thi usme par mujh mein koi andaaz nahi tha
kal maine poochha, uske paas koi raaz nahi tha
aaj poochha usne aur mere paas alfaaz nahi tha
--------------------------------------------------------
Mujhe khush rakhne ka unka khayaal achha hai
Par main unke layak hoon bhi ya nahi, ye sawaal achha hai
--------------------------------------------------------